Tuesday, August 2, 2016

♥ Journey Part 20 ♥




Gurkirat -- Gurudwara chalte hai.. Wahan pakka
miljaayega room
Akash -- Bhai Ye Amritsar nahi hai , Dharamshala
hai...
Gurkirat -- Koi na Koi toh gurudwaara hoga yahan bhi
saale...
Akash -- Chup reh yaar tu... Gurudwaara agar mil bhi
gaya toh 'Beer' peekar jaayenge wahan? Baat karta
hai
Gurkirat -- Hmmm... Aur tu Kyun mobile mein
ghussa wa kab se?
Sunny -- Online dekhra hu ,shayad koi hotel miljaaye

😐

Gurkirat -- Hahahaha
Akash -- Maine saala subah se facebook tak nahi
chalaya , main bhi kuch dekhu zarra mobile par !!
Gurkirat -- Yahan tension horakhi hai aur tum dono
ko mobile chalaane ki padi wi... Kahan fasgya
bhagwaan main ?
Sunny -- Manali toh packed hoga , dharamshala
chalo !! Ab lelo 😐
(After few minutes, Priya Noticed an update from
Sunny's profile)
(At facebook)
Priya -- Waao Manali bolkar Dharamshala ghuma jaa
raha hai ? Hats off !!
Sunny -- (Isko Kaise pata chala main Dharamshala
mein hu) What? Kya bol rahi ho tum?
Priya -- Leave. You're such a liar.
Sunny -- Priya What happened yaar?
..and then Sunny check out all his Notifications and
there is this one notification in which Sunny is
tagged in "Akash" status.
*Feeling Lost* with Sunny and Gurkirat at
Dharamshala(H.P)
Sunny -- (Saale ne marwaadiyaa...) Oye...
Akash -- Kyaa?
Sunny -- Ye status tunne update kiyaa?
Akash -- Kaunsa?
Sunny -- Ye Dharamshala waala?
Akash -- Oh woh.. Haan abhi kiya thodi der pehle !!
Kyun Kya huaa?
Sunny -- Tu pagal hai yaar? Merko Kya tag karne ki
zaroorat thi?
Akash -- Tu itna react kyun kar raha hai? Tag hi kiya
hai sirf
Sunny -- [-_-]
Akash -- |o_o|
(Back to facebook)
Sunny -- Are you there?
Priya -- *Msg seen*
Sunny -- Well Priya , tumne ignore karna hai toh you
can. But I'm not a liar. Humara plan ekdum se
change hua and you know what humarko koi hotel
bhi nahi mil raha hai. Its 10:30 and we still don't
know what to do and where have to go now 😐
Priya -- (Itna bada msg iska? Oh Shit , ye toh kissi
problem mein lag raha hai?) Hotel nahi mil raha?
Kyun?
Sunny -- (Ek toh bndiya har baat par 'Kyun Kyun' pata
nahi kyun karti hai?) Kyunki yahan saare rooms
booked hai... Pata nahi kahan se itna tourist aara
hai?
Priya -- Oh !! Ab?
Sunny -- Ab lagta hai hum sabko gaadi mein hi sona
padega
Priya -- But Wahan dharamshala toh Kaafi thand hoti
hai naa raat ko?
Sunny -- Hmmm but tumhe kaise pata?
Priya -- Kyunki... Hold On. I'll text you in 5 minutes..
Shayad main kuch help kar paau tumhari...
Sunny -- Help? Kaisi help?
...and Priya go offline then.
Priya -- Oye.... Oye Ishani sun !!
Ishani -- Kya huaa?
Priya -- Tera BF Dharamshala ka hai naa?
Ishani -- Haan.. Kyun kya huaa?
Priya -- Proper Dharamshala kaa?
Ishani -- Haan proper !! But huaa kyaa?
Priya -- Mere kuch friends wahan fasgye hai.. I mean
Unko koi hotel nahi mil raha hai wahan par.. Kya tera
bnda kuch help kar sakta hai unki?
Ishani -- Yaar ab ye toh nahi pata merko...
Priya -- Puch usse ek baar phone kar ke..
Ishani -- Yaar woh toh sogya hoga ab.. Jaldi sojaata
hai woh !!
Priya -- Yaar abhi toh 11 bhi nahi baje.. Atleast ek
baar try to kar !!
Ishani -- Yaar... Acha Ruk !!
*Tring-Tring*
Ishani -- Nahi uthaara phone wo...
Priya -- Ek baar fir try kar naa...
Ishani -- Yaar Priya Woh sogya hoga pakka...
Priya -- Please
..
..
To be continued
Ps :- Kaisa Laga Yeah Part Comment Main Zarur Batayein aur Jitna Ho Ske Share Karein ☺️
Next part Aj Shaam 7 Bje 

Like And Share Our Page 

No comments:

Post a Comment