Anamika –> So ye hai Misha ka college
Akashdeep –> Kahan par hai wo? Phone kar ke puch zarra usko :/
*Tring-Tring*
Misha –> Kahan par pahunche tum log?
Anamika –> Hum main gate ke pass wait kar rahe hai tera :/
Misha –> What? Tum College pahunch gaye kya? :O
Anamika –> Haan .. Tu Kahan par hai?
Misha –> Main canteen ke pass hun. Aisaa karo , Tum gate ke andar waale raaste mein aajao , main beech raaste me miljaaungi tumharko fir
Anamika –> Ok Ok !!
*Phone Cut*
Akashdeep –> Haan kya boli wo?
Anamika –> Gate se andar aane ko bol rahi hai :/ Khud Canteen ke pass thi kahin
Akashdeep –> Ruk pehle confirm karle zarra… Kissi se puchlete hai
Anamika –> Hmmm…
Vicky –> Suit waala gift chakliya naa?
Amit –> Haan…
Akashdeep –> Excuse me bro
Vicky –> Ya?
Akashdeep –> Ye Canteen issi raste mein padegi?
Vicky –> Haan ye saamne waale gate se andar ko holo , 10 min ka walking distance hai
Akashdeep –> Thankyou bro
Vicky –> Hmmm koi naa
Amit –> Ab chale bhai Suitwaali ke pass?
Vicky –> Pehle gaadi toh lock karde BC
Mushkil se mere baap ne dilwaai hai ye :/
Amit –> :/
Vicky –>
Amit –> Ye Chd waala bnda kya puchra tha terse?
Vicky –> Canteen puchra thaa !!
Amit –> Saath waali bndi sahi thi naa uske?
Vicky –> Theek hi theek thi -_-
Amit –> Teri Misha se toh totta hi thi
Vicky –> Yaar dimag mar kharab kar, ab jaldi chal !! Pehle hi time waste hogya itna :/
(10 minutes later)
Vicky –> Dikh kyun nahi rahi aaj? College bhi aayi hai wo?
Amit –> Ishana ko phone kar ke puchle kahan par hai wo? Kahin wo Hostel naa baithi ho aur hum yahan faltu mein jhakk marwaa rahe ho apni ?
Vicky –> Hmmm…
Amit –> Wo toh nahi khadi saamne? :O
Misha –> She is Anamika
and He is Akashdeep
Ishana –> Hie
Helo…
Anamika –> Helo
Akashdeep –> Hi….
Misha –> So kab chale the tum log chd se? Bada time lagadiya solan pahunchne mein
Anamika –> 9 baje chal pade the hum log toh
Woh Parwanoo ke pass traffic jam hi bahot thaa , isliye time lag gaya :/
Misha –> Ok Ok !!
Anamika –> Ab tu bhi bol le kuch kutte
Akashdeep –> Kyaa bolu main ?
Anamika –> Gaadi mein toh Misha Misha lagayi wi thii… ab kya hogya?
Misha –> (felt shy)
Ishana –> (Was blank among them)
Anamika –> Aisa karte hai , tu aur Akashdeep baatein karo , tab tak main or Ishana college ghumkar aate hai
Ishana mujhe college ghumaaoge apna?
Ishana –> Sure yaar
Misha –> Tum dono kaha chal pade yaar ab ?
Anamika –> You both Enjoy
….and then anamika and Ishana went away from there !!
Akashdeep –> So kaisi hai tu? Did you missed me ever?
Misha –> No , Why should i ?
(Meanwhile Vicky saw Misha(who was with Akashdeep), just a stone’s throw away)
Amit –> Ye bnda toh wahi ni hai gaadi waala?
Vicky –> Hmmmmm
Amit –> Saala hai kaun ye chutiya?
Vicky –> *Kept silent*
Amit –> Bhai kya huaa? Tu theek hai naa?
Vicky –> *Once again he didn’t said a word*
Amit –> Teri aankh mein aansu? :O Kya scene hai bhai? Kya huaa terko?
Vicky(in a broken voice) –> So ye iska bnda hai
Amit –> Bhai bhi ho sakta hai bawa :O Be positive !
Vicky –> Bhai hota toh dono aise behave naa kar rahe hote
Dono ko dhyan se dekh , bnda-bndi waali feeling dikheegi inke action or reaction mein
Amit –> Chod naa yaar isko , aur bhi bndiya hai iss duniya mein
Vicky –> Kurta Pajama saari bndiyo ke liye nahi silwaa sakta ab mere bhai
Amit –> Kuch nahi hota bhai… Tu Tension naa le !!
Vicky –> Dil tutgya bhai aaj :’) Sachmein BC andar se bada burra lagra hai aur jealousy bhi hori hai
Anamika –> College toh acha hai tumhara
Ishana –> Hmmm….. Wait a sec , Ye Vicky bhaiya Kurta pajama mein?
Anamika –> What happen?
Ishana –> Tum Misha ke pass jaao , main abhi 5min mein aati hun
Anamika –> Okay !!
Ishana –> Bhaiyaa aap yahan?
Vicky –> Hmmm :’|
Ishana –> Aap ro rahe ho kyaa?
Vicky –> Nahi toh
Wo kuch kachra chal gaya tha aankh mein
Ishana –> Aur aaj Kurta Pajama kyun pehnliyaa? Kya baat hai bhaiyaa?
Vicky –> Kuch nahi Ishana
Amit –> Ab kyun jhooth bol raha hai bhai?
Vicky –> Amit…. Amit chup reh yaar…
Ishana –> Amit bhaiya aap btaao kyaa huaa? Plzz
Amit –> Ye bnda teri friend Misha se pyar karta hai , aaj propose maarne aaya tha especially Kurta Pajama pehnkar but saamne waala nazaara dekh kar dil tod baitha apna
Ishana –> I knew that
Mujhe pata thaa aap Misha ko like karte ho , but itna seriously karte honge? I haven’t expect
Vicky –> Chodo yaar ye sab ab :/
Amit –> Ishana ek baat toh btaa , ye saamne jo bnda hai wo Misha ka BF hai?
Ishana –> Shayad
I mean Ex boyfriend thaa , aaj shayad patch up karne aaya hai !!
Vicky –> Main chalta hu ab , tunne chalna hai Amit toh chal mere sath !! Warna baad mein akele bus mein baith kar aajaaiio
Ishana –> Vicky bhaiyaa ye hath mein kya hai? Gift?
Vicky –> Iske andar……? *and then he literally cried*
Amit –> Oye… Kyaa hua? Pagal hai tu? Chup kar jaa….
…and after this emotional breakdown , Vicky ran way from Love
Amit –> Kahan jaara hai? Ruk toh bhai 2min..
Ishana –> Bhaiya aap jaao Vicky bhaiya ke pass… plz unka dhyan rakhnaa !!
Amit –> Hmmmmm ….
Ishana –> :'(
(15mins later , Inside Vicky’s Car)
Amit –> Darwaaza khol..
Vicky –> *Wipes a tear from his eye and unlock the front seat door’
Amit –> Tu aise ladkiyo ki tarah kyun ro raha hai bhai? Sharam kar kuch :/
Vicky –> ..but is gift ko sambhal kar rakhunga main !! Ye Suit uski nishani hai :”(
Amit –> Act like a gentleman bhai !! Whats Wrong with you? She is a bitch -_-
Vicky –> She isn’t !! Samjha? She have a fantastic smile and graceful personality thats it !!
Amit –> Toh rona band kar fir :/
Vicky –> Sharab peene chale?
Amit –> Kahan? Chandigarh?
Vicky –> Tu bol delhi le chalunga iss gaadi ko aaj !! Tu bolkar toh dekh bhai
Amit –> Chup chap se room chal !! Jyada aashiqi bhi achi nahi hoti :/
Vicky –> Tune ek cheez notice ki thi waise?
Amit –> Kyaa?
Vicky –> Misha ne aaj Suit pehna wa thaa
Amit –> -_-
Vicky –> :||
Akashdeep –> Ab toh maaf kiya naa mujhe?
Misha –> Hmmmm
Akashdeep –> I love you
Misha –>
Akashdeep –> Tum nahi bologe kyaa kuch :/ Lagta hai mujhe maaf nahi kiya abhi tak tumne :/
Misha –> Okay me too :/
…. To Be Continued
Ps :- Kaisa Laga Another Journey ka Part Comment Main Zarur Batayein aur Jitna Ho Ske Share Karein

Next part of Another Journey aaj raat 9 bje
Like And Share Our Page ♥ ♥
No comments:
Post a Comment