Monday, August 22, 2016

♥️ ‪#‎Another_Journey_Started‬ ♠️ ‪#‎Part_18 ♠️




Vicky –> Ab Usko bhulne ki koshish 

Amit –> Aur wo tujhe bhuljaayegi kyaa?
..and then Vicky burst into tears 
Amit –> Oye idhar dekh…. terko sunn ni raha? Meri Taraf dekh !!
Vicky –> Hmmmm 
Amit –> Ro kyun raha hai aisse faltu mein ? Banda ban !!
Vicky –> Misha kya sochri hogi yaar mere baare mein? 
 Usko toh yahi lagra hoga ki ‘Vicky ditched her’ !!
Amit –> Bhai ye soch ki agar tu ye sab naa karta , toh wo chutiya akashdeep Misha ko kitna humiliate karta zindagi bhar?
Vicky –> Wo bnda maarna hai maine yaar… Wo nahi bachega mere haatho se !!
Amit –> Maarenge bhai zaroor maarenge , pehle aaram kar tu.. Aankhein dekh apni kitni ‘laal’ ho rakhi hai teri :/
Vicky –> Dil jo ‘behaal’ ho rakha hai mere bhai 
Amit –> Saale ab toh dialogue maarna band karde 
 Chup-Chap se sojaa ab :/
Vicky –> Haha….. Yaar wahan Misha ki pata nahi kya haalat hogi? Maine ekdum se hi usko beech raaste me chod diya bhai 
(Back there at Girl’s Hostel?
Ishana –> Plz Misha ab chup bhi kar jaa 
 Kab tab uss bnde ke liye rote rahegi?
Misha –> Usko ek baar call kar ke reason puchegi tu 

Ishana –> Yaar kya bolungi main Vicky bhaiya ko?
Misha –> I dont know , but i want to know fucking reason !!
Ishana –> Hmmm Okay …..
( Phone rings )
Vicky –> Ishana ka phone kyun aara hai ab?
Amit –> Misha ki wajah se kar rahi hogi pakka :/
Vicky –> Ab kya karu?
Amit –> Uthaa phone… Par baahar balcony mein kyun jaara hai? Yahin kar mere saamne baat !!
and he picks Ishana’s phone !!
Vicky –> Hello !!
Ishana –> Vicky bhaiya….
Vicky –> Hmmm Ishana !! What happen?
Ishana –> Misha ne baat karni thi aapse …
Misha(she whispered in a soft voice) –> Meri kyun?.. Mujhe nahi karni…
Ishana –> Ye le baat kar…
Vicky(in quivering voice) –> Misha? Sab theek hai naa?
Misha(tears trickled down her eyes) –> Tumne aisa kyun kiya mere sath Vicky?
Vicky –> Tumhe kitni baar btaau Misha? I’m committed now :/ So plz bhuljaao mujhe !!
Misha –> Kya main naam jaan sakti hu uss Lucky girl kaa?
*Phone Cut*
Ishana –> Kya bola unhone?
Misha –> Kuch bolne ko hota , tab bol paata naa . I Know him very well !! Kuch chupaara hai mujhse , par kyaa? Ye Pata nahi !!

(At Amit’s room)
What Amit didn’t know was that Vicky would be the one to cry the worst. !!
Amit –> Kya hua? Phone Kyun kaat diya ekdum se tunne?
Vicky –> Aisse Kaise kar sakta hu main yaar uske sath? She is such a sweetheart yaar…
Amit –> Tu ronaa band kar pehle -_-
Vicky –> Usne mujhse pucha , kaun hai wo ‘lucky’ girl? Do you believe this bhai? Bandi ne ek second mein ‘Lucky Girl ‘ bolkar ; meri jagah apne aap ko ‘Unlucky’ kehdiya…. Yahi khaas baat thi usme !!
Amit –> Vicky ab Ladkiyo ki tarah rona band kar :/ Bahot hogya ab !!
Vicky –> Ladkiyo ki tarah rona? Waise inn ladkiyo ko hum ladke hi rulaate hai humesha 
 This is bitter truth actually .
Amit –> Andar room chalkar Rajai me baithte hai , yahan balcony mein baithkar thand lag jaayegi 
Vicky –> Tu chal , main aaya thodi der mein andar.
Amit –> Jaldi aajaio bhai… Tab tak main upar se cigi laaya tere liye.
Vicky –> Kya baat aaj itna khyal kyun rakhra hai tu meraa?
Amit –> Chal na… Wo toh bus yuhin :/
Vicky –> Acha jaldi aaio ,… aur sun darwaaza band kar ke jaaio :/
Amit –> Tab tak tu bhi fresh hojaaio. Ye aansu-wansu nahi dikhne chahiye tere face par jab main waapis aau :/
Vicky –> Hmmm ab jaa naa….
(2 Days Later)
(At Hostel)
Ishana –> Waise tu jaa kyun rahi hai Chandigarh?
Misha –> Aisse hi yaar… Anamika bulaa rahi thi kab se.. Aur mumma-papa se bhi kaafi din hogye meele huye !!
Ishana –> Waapis Kab aayegi?
Misha –> 2-3din mein aajaungi 
Ishana –> Hmmm. Chal tera bhi ghar jaakar mind divert hoga kuch !!
Misha –> Hope so…

Ishana –> Saara saaman daal liya naa? Dekhlio dhang se !!
Misha –> Hmmmm….
Ishana –> 5min rashmi ke pass jaana padega , usko ye book deni hai. Canteen ke pass wait kario tu mera tab tak .
Misha –> Okay..
(Meanwhile at College Canteen)
Amit –> Chai peeyega naa?
Vicky –> Hmmmmm….
Amit –> Tu baith , main order dekar aaya !!
Vicky –> Paranthe bhi boldio chai ke saath :/
Amit –> Mere pass paise nahi hai jyada -_-
Vicky –> Main hoon naa 
 Tu order de bus :/
Amit –> Okay 
*(Well Vicky and Misha in their minds)*
Misha –> (Ye Canteen me kya kar raha hai?)
Vicky –> ( Misha… Iske haath me bags? Ye Kahan jaari hogi iss waqt?)
Misha –> (..but ye akela kyun baitha hai? Kahin apni new girlfriend ka wait toh nahi kar raha hai?)
Vicky –> (Naa koi vacations hai , naa exams khatam huye naa koi tech-fest wagara hai , fir ye apna samaan pack kar ke kahan jaari hogi? Iske pass jaakar puchu isse?)
Misha –> (..ek waqt thaa jab main aur Vicky bhi yahan canteen mein sath baithkar momos khaate the , aur aaj… Huh I hate him literally 
 arghh jaate jaate kyun dikhgaya iska chehra mujhe bhagwan?)
Vicky –> (Isne itna bhaari luggage kaise uthaaya hua hai? Jis bndi ke carrybags bhi mujhe uthaane padte the wo aaj itna samaaan…. mujhe iske pass jaana chahiye. May be she is in search of any helping hand)
…. and Vicky walks his way , obviously Misha is his destination.
Vicky –> May i help you?
Misha –> Sorry? :/
Vicky –> Kahan jaari ho?
Misha –> Tumse matlab?

Vicky –> Ye bags mujhe dedo , tum thak jaaogi -_-
Misha –> Well Who are you? Maine aapko pehchaana nahi 
..and then every noise ceased, every moment stopped, every voice choked, everything else dissolved into nothingness.
Because Vicky was shocked to hear this from the girl whom he loved with all his heart, for the past six months. He was sad, agonized, watching aimlessly towards the canteen from where Amit could see the gloom in Vicky’s eyes, the restlessness on his face, the nervousness in his actions… Amit could sense it.
Whereas, Misha is crushed to pieces eventually, feeling like it was the end of the world; She thought it would help her. But She was wrong; she cared deeply for him she had been dating with, all along. She felt something breaking inside, felt her heart bellow in pain 
Amit(shouted) –> Vicky …. Teri Chai thandi hori hai !!

Vicky –> Hmmm aaya .
….To be continued :3

Ps :- Kaisa Laga Another Journey ka Part Comment Main Zarur Batayein aur Jitna Ho Ske Share Karein 
Next part of Another Journey kal shaam 4 baje 
Like And Share Our Page ♥ ♥

No comments:

Post a Comment