Sunny -- Hahaha !!Bye bhaiya , See you again !!
(Bathinda: Sunny's Hometown)
Sunny -- Main pahunch gya bhai Bathinda
Akash -- Kahan par hai?
Sunny – Mall road par... Tu aara hai Kyaa?
Akash -- 20 min mein aaya...
Sunny -- Jaldi aa... Udar hi wai kar raha hu tera !!
Akash -- Okay , karta hun call terko Mall road
pahunch kar !!
*Tring-Tring*
Sunny's mother -- Kahan pahuncha beta?
Sunny -- Abhi 'bus' mein hu , aadhe ghante tak
Bathinda pahunch jaaunga main
Sunny's mother -- Jaldi aaja . Tere liye special tere
'kadi-chawal' bnaaye hai maine
Sunny -- Kya baat hai mumma Aapne toh dil ko
yummy yummy kardiya ye bolkar
Sunny's mother -- Chup kar dialogue baaz
Sunny -- Ghar pahunchkar karta baat aapse
"30minutes later, at Mall Road , Bathinda "
Akash -- Baawaa..... Kaisa hai?
Sunny -- Aagya tu saale !! Mast hu bhai , tu sunna?
Akash -- Sexy bhai
Sunny -- Hahaha aur yeh 'daardi-muchhe' kyun rakhli
tunne?
Akash -- Bus bhai aise hi rakhli
Sunny -- Breakup toh nahi hogya tera? Tabhi aisi
haalat lagri teri
Akash -- Tera bhai 'Single' hi khush hai
Sunny -- 'Whatsapp' dikhaaio zarra apna !! Bada aaya
'Single' khush hu bolne waala bndio ki line lagi
wi saale tere pass 😐
Akash -- Oh yaar wo time gaya ab !! Aur sunaa tu?
Kya bnaa teri naukri ka scene?
Sunny -- Gurgaon bhai !! Next month se joining !!
Akash -- Matlab 1 mahina tu Bathinda hai na abhi?
Sunny -- Haan !!
Akash -- Fir toh full-on mazze maarenge bhai
Sunny -- Yupz !! Aur 'Dhobhi Bazar' ki gediya ni maar
te tum aajkal?
Akash -- Stuff hi nahi raha ab wo waala 'Dhobhi
Bazar' mein bhai !! Nai Basti mein fir bhi deekh jaata
kuch 😐
Sunny -- Kyun Dhobhi Bazar mein kya hogya?
Akash -- Saara stuff toh chala gya
Sunny -- Haan ye baat toh hai Teri bndi bhi toh
Chd hai naa?
Akash -- Hmmm...
Sunny -- Fir bolta hai 'Single' hi khush hai hum !!
Tharki saala
Akash -- Hahaha !! Chal 'chai' peeene chalte chachu
ke
Sunny -- Ni ni yaar , ghar jaana padna merko aadh-
ek ghante mein !! Maine Ghar par bola waa ki abhi
'bus' mein hi hun Thodi derr tak pahunchunga
Akash -- Hahahaha
Sunny -- Bhai 'taxi' mein aaya main Bathinda tak
Akash -- Taxi? BC tu toh delhi jaakar ameer bngya
Kahin delhi waala toh nahi bngya "jaanta hai
mere baap kaun hai?" xD
Sunny -- Lolz. Delhi waala toh nahi bnaa bhai par
Delhi waali pasand aagayi ek
Akash -- Kaun? Kya naam hai? Waise Delhi ki bndiya
harkuch hoti yaar.. Merko bhi jaana delhi 😐
Sunny -- Naam toh bhulgya yaar uska... Shit !!
Akash -- haiiinnn? Kya matlab? Aur tu taxi mein kyun
aaya?
Sunny -- Scene hai bhai !! Tera bhai bndi ke saath
baithkar aaya taxi mein
Akash -- bndi ke saath? Kya bolra hai tu? Detail mein
bta purra scene !!
Sunny -- Woh jab aaj subahi m baitha naaa
main.........toh Punjab Mail se taxi li fir hum dono
ne saath..............fir Goniana n pahunchkar intro hua
dono kaa !!
Akash -- Matlab tum dono ki koi jaan pehchaan nahi
thi?
Sunny -- No , she was just my co-passenger !!
Akash -- Yaar.... fir Goniana pahunch kar kya huaa?
Sunny -- Intro sa huaa , jab eye contact hua dono
kaa toh kuch special si feeling aayi bhai
Akash -- Ab ye mat bolio ki "I'm in love"
Sunny -- Hahaha 'Yaa I'm not in love , but she is
something special person"
Akash -- Bathinda ghumne aayi honi wo toh waise?
Sunny -- Ghenta !! Guru Kashi mein admission li
usne
Akash -- Guru Kashi? Ye apne waala guru Kashi
Sunny -- Haan Talwandi sabo waala !!
Akash -- Fir toh aaram se teri setting hojaani uske
saath !!
Sunny -- Pata nahi !! Agar uski aaj add request nahi
aayi toh kuch nahi keh sakte
Akash -- Add request?
..
..
To be continued
..
Ps :- Kaisa Laga Yeah Part Comment Main Zarur Batayein aur Jitna Ho Ske Share Karein ☺️
Next part Kal Shaam 4 Bje
Like And Share Our Page
No comments:
Post a Comment