Raghvi – Hi Vidhi
Vidhi – (but she doesn’t responded)
Anirudh – Kaisi ho Vidhi?
Vidhi -- Achi hu bhaiya. Aap?
Anirudh – Theek hun.
Prashant – Hi Vidhi. Pehchaana?
Vidhi – Hmmm
Prashant – Meet her, she is raghvi !!
*Raghvi extended her hand for a handshake first*
Vidhi – Aap log yahan par? Kuch special hai kya?
Anirudh – Tumhe pata hai naa , hum kis liye aaye honge?
Vidhi – Nahi , no idea.
Prashant(in his mind) – (Get an idea)
Anirudh – Prashant tu bol na…
Prashant – Raghvi…
Raghvi – Vidhi Kya hum 5 minute ke liye baat kar sakte hai?
Vidhi – Say !!
Raghvi – Uss raat rizul ki galti nahi thi.. sab meri thi !!
Vidhi – Mujhe iss barein mein aur baat nahi karni !! Aap log jaa sakte hai….
Prashant(In his mind) – WTF?
Anirudh(in his mind) – (Ye wahi Vidhi hai kyaa , jo rizul ke naam se khil uththi thi?)
Raghvi – Socho Agar rizul ki galti hoti toh kya main 7 hours ki drive kar ke tumse 5-10 minute milne ke liye aaati?
Vidhi – But ab inn baaaton ka kya fayda? Jo hona thaa woh hogya. Rizul apni life mein khush hai aur main apni… so what’s the problem?
Raghvi – Do you know, Rizul is leaving delhi tomorrow. He left his job , ruining his career ,way of life and so many things.
Vidhi -- What?
Raghvi -- Woh itna depressed hai ki usne resign krdiya !! Aur mujhe nahi lagta ab woh waapis delhi aayega !!
Vidhi -- Bhaiya ye kya bol rahe hai?
Anirudh -- It's true !!
Vidhi -- Woh pagal hogya hai kya? Job chodkar kya milega usse?
Raghvi -- Tumhe usse Chodkar kya mila?
*Silence Prevails*
Vidhi(tears filled in her eyes) -- Maine usse nahi choda , uski galti ne mujhe choda
:(

Raghvi -- Kya tum uski ek galti bhi maaf nahi kar sakti?
Vidhi -- :|
Raghvi -- Are you Okay?
Vidhi -- My heart is still screamed for him, he was the one I had fallen for, he was everything for me.
Raghvi -- 'Was' or 'is'? Be specific dear .
Vidhi -- Hmmm 'is'
Raghvi -- Fir Kyun usko maaf nahi kar dete aap? Vidhi Sirf tum uska career , uski job , uski khushiyaan , uska self-belief sirf tum waapis laa sakti ho.
...they were discussing when suddenly Ishani came next to vidhi.
Ishani -- Sab theek hai naa Vidhi?
Vidhi -- Ishani Kuch theek nahi hai. Mujhe Rizul se baat karni hai....
Anirudh -- Phone milau usko?
Vidhi -- Hmmm..
Prashant -- Rizul ko pata chal gaya ki hum sab shimla aaye huye hai toh woh naraz hojaayega.
Vidhi -- Par mujhe baat karni hai usse !!
Prashant -- Vidhi tum usko apne cell se phone karlo , but humara naam mat lena.
Vidhi -- "Okay"
*Tring-Tring*
*The person you are calling is busy at the moment*
Vidhi -- Busy jaara hai :|
Raghvi -- Oh
Prashant -- Busy bhi abhi jaana tha iska phone?
Anirudh -- Isko bolte hai "futti kismat"
(Meantime at Delhi)
*On Phone-Call*
Rizul -- Haan papa kal subah 7:30 ki train hai.
Rizul's dad -- Ticket ka print out krwaaliya naa?
Rizul -- Mobile me SMS hai papa !!
Rizul's dad -- SMS kabhi-kabhi maante nahi. Print out hona chahiye haath mein.
Rizul -- Abhi market jaakar nikaaal aaunga.
Rizul's dad -- Hmmmm... dhyan se aana kal
Rizul -- Jee Papa
:)

*Phone Cut*
Rizul doesn't find or get any missed call as the Call waiting option in the settings has disabled.
(Back to Shimla)
Vidhi -- "Uska phone nahi aaya waapis"
Raghvi -- Fir try kar ke dekho. Shayad ab free hogya ho.
Vidhi -- Meri Miss Call dekhkar bhi usne phone nahi kiya.. Waise Maine hi manna kiya thaa usko 'phone karne se'
Raghvi -- Prashant tum call kar ke dekho usko.
Prashant -- Kya bolu usko?
Raghvi -- Mujhe kya pata...
*Tring-Tring*
Rizul -- Hello..
.
..... TO BE CONTINUED
Kaisa Laga yeah Part ?
Ab Aage Kya Hoga Jaane Ke Liye Jyda Se Jyda Like Aur Comment Karein
😊

Next Part Aj Shaam 7 Bje 🙃
Like And Share Our Page
❤️
❤️


No comments:
Post a Comment